CHALO KUCH DAIR HANSTAY HAIN
Chalo Kuch Dair Hanstay Hain
Mohabbat per, Inayat Per,
Keh Bay-buniyaad Batain hain,
Sabhi Rishtay, Sabhi Naatay,
Zarurat ki Hain Ejaadain...
Kahin Koi Nahin Marta, Kisi K Wastay Jana!
Keh sab hai phair lafzon ka, Hai Sara Khail Harfon ka,
Nah Hai Mehboob Koi Bhi,
Sabhi Jumlay se Kastay Hain,
Chalo Kuch Dair Hanstay Hain...!
Ussi Ko Yaad Kertay Hain,
Jisay Hum Zeest Kehtay Hain
Keh Lena Saans bhi Jis Kay Hamen Ek Jurm Lagta Tha,
Keh Sang Jis K Her Ek Lamha, Khush-o-Khurram Sa Lagta Tha
Jisay Hum Zinbagi Kehtay, Jisay Hum Shaeri Kehtay
Ghazal Ka Kaafia Tha Jo, Nazm Ka Jo UnwaaN Tha,
Woh Lehja Jab Badalta Tha, Qayamat Khaiz Lagta Tha,
Waqt Se Aagay Chalta Tha, Bala Ka Taiz Lagta Tha,
Jo Saya Ban K Rehta Tha,
Juda Ab Uss K Rastay Hain,
Chalo Kuch Dair Hanstay Hain...!
Posts: 192
Comments: 102
" Laakh PardoN main chHupaa LooN Bhaid Meray Kholti Hay ShaaEry sach Bolty hai "
