MUJHAY KIA !!!
imshaz's blog /
Poetry /
MUJHAY KIA !!!
MUJHAY KIA !!!
MUJHAY KIA
darmaaN-e-Gham-e-Hijr agar ho to mujhay kia
az-raah tumheN ab meri khabar ho to mujhay kia
jab ho gai gham se meri duniya tah-o-baala
ab ek jahaan Zair-o-Zabar ho to mujhay kia
jab khaak bhe baqi nah rahi Qalb-o-Jigar ki
tum meray liay khaak basar ho to mujhay kia
meray Dil-e-VeeraaN main ujaala nahi hota
tum Ghairat-e-Khurshee-o-Qamar ho to mujhay kia
hay ab meri duniya main sara-sar Shab-e-Furqat
ab iss Shab-e-Furqat ki sahar ho to mujhay kia
acha hai k bin meray guzar jaaey kissi ki
aor youN bhi kissi ki nah guzar ho to mujhay kia
Comments
- niceeeeeeeeeeeeee
Description
imshaz
Posts: 192
Comments: 102
" Laakh PardoN main chHupaa LooN Bhaid Meray Kholti Hay ShaaEry sach Bolty hai "
Posts: 192
Comments: 102
" Laakh PardoN main chHupaa LooN Bhaid Meray Kholti Hay ShaaEry sach Bolty hai "
Categories
Copyright © 2012 ShehzadOnline!
