hadia's blog
Zindagi Shart Hai Jeeni Paregi
Ab Phool Kileen Ya Na Kileen
Tu Sath Chalay Ya Na Chalay
Khwaboon Kay Sawaloon Ki Tarah
Zindagi Shart Hai
Din Kiltay Khwaboon Ki Tarah
Tujh Ko Laga Mein Teray Rang Churalonga Par
Mein Nay Dekha Hai Tujhay Chand Sitarooon Ki Tarah
Mein Buss Chaha Kay Tu Rahay Meray Sath Saya E Asdan Ki Tarah
Tujh Chah Kar Mein Kissie Aur Ko Chahna Chahoon
Maut Aajaye Jo Mein Phir Kabhie Marna Chahoon
Tujh Ko Manga Hai Mein Auroon Say Imaan Ki Tarah
Tujh Ko Chaha Hain Mein Nay Din Mein Sitaroon Ki Tarah
Meray Dil Mein Aakar Tu Kabhie Dekhti Tu Yun Hi
Meray Dildar Mujh Say Tera Gila Acha Tha
Kab Samjh Ka Kay Teray Lafz Ki Nisbat Acha Tha
Who Hontoon Pay Gulabi Chehray Ka Nasha Acha Tha
Tujh Ko Pakar Mein Kissie Aur Ko Pana Chahoon
Maut Aajaye Jo Mein Phir Say Zindagi Chahoon
Jeenay Waloon Say Kaho Jeena Parta Hai
Jeenay Keliye Kuch Dart Utana Parta Hai
Usi Dart Ko Chupanay Keliye Pyar Karna Parta Hai
Apni Hasi Say Apnay Dil Ko Sajana Parta Hai
Yahan Tu Dil Hi Marr Gaya Teri Ansoon Kay Inteezar Mein
Tu Nay Abhi Rolaya Hi Nahie Tu Hasna Iss Ka Say Hoga Ab
Dara Kay Raka Tha Iss Duniya Mein Mujhay
Hum To Aaye The Teray Pass Apna Gham Dekhanay Keliye
Teri Hasi Mein Apni Hasi Dondnay Keliye
Teri Baton Mein Apnay Khwab Dekhanay Keliye.....
Tujh se koi gilla nahin hai
Qismat main meri silla nahin nahi
Bichar ke to na-janey kia haal ho
Jo shakhs abhi milla nahi hai
Jeeney ki to aarzu hi kab thi
Marney ka bhi hosla nahin hai
Jo zeest ko mu-tabir bana dey
Aesa koi silsila nahin hai
Khushboo ka hisaab ho chuka
Aur phool abhi khilla nahi hai
Sershaari-e-rehbari main dekha
Peechy mera qafilla nahin hai
Ek thais pe dil ka phoot behna
Chooney mein to aabla nahi hai
zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi
us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi
sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi
mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi
wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi
Woh Manzilain be kho gayin,,
Wo rasty be kho gaye
Jo ashna sy loog thy ,
Wo ajnabi sy ho gaye
Na chand tha na chandni,,
Ajeeb thi wo zindagi
Chiragh thy k bugh gaye,,
Naseeb thy ky soo gaye
Ye pochtey hain rastay,,
Nukhay ho kis wastay
Chalo tum be ab chalo,,
Wo meharban b ab kho gaye.......
Meray quarb se meray wajood tak
Usay ikhtilaf to sada ka tha
Meray ghum se meray junoon tak
Yeh faisla bus ana ka tha
Meri zindagi se meri saans tak
Who falsafa bus dua ka tha
Meri baat sy tery ziker tak
Koi silsila jo hawa ka tha
Meri haqiqat se meray khawab tak
Who bykhaber intiha ka tha
Meray veham sy meray gumaan tak
Yeh marhala wafa ka tha
Meri talab sy meray naseeb tak
Yeh maamla Kuda ka tha
Woh shakhs k jiss se mein mohabhat nahi karta
Hansta hai mujhey dekh k per nafrat nahi karta
Ghar waloon ko ghaflat pe sabhi kous rahay hein
Choroon ko magar koi bhi malamatt nahi karta
Detay hein ujaalay meray sajdoon ki gawahee
Mein chupp k andheroon mein ibadat nahi kata
Bhoola nahi mein aaj bhi adaab_E_jawani
Mein aaj bhi auroon ko kabhi nasihatt nahi karta
Duniya mein Qateel uss sa mounafik nahi koi
Jo zulm tou sehta hai per baghawatt nahi karta....!!
Aaj hulki hulki barish tahi
Aaj serd hawa ka ruks bi taha
Aaj phool bi nikhry nikhry they
Aaj un mai tumera aks bi tha
Aaj badel kaley gehrey they
Aaj chand pay lakhon pehrey they
Kuch tukrray tumeri yadoon kay
Barri dair sy dil mai thehray they
Aaj yadein uljhi uljhi thein
Aor aaj tak ye na suljhain thein
Aaj yaad bohat tum aye they
Aaj yaad bohat tum aye they!!!!!!!!!
Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?
Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.
Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.
Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,
Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.
Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.
Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.
Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.
Ankh ban jati hai sawan ki ghata sham k baad
Lout jata hai ager kohi khafa sham k baad
Chand jab roo kr sitaroon sy galay milta hai
Ek ajab rung ki hoti hai fiza sham k baad
Hum ne taanhai se pocha k milo gi kab tak
Us ne bechaine se foren hi kaha sham k baad
Lout ati hai meri shab ki ebadat khali
Jane kis arsh par rahta hai Kuda sham k baad
Maar deta hai ujar jane ka dohra ehsas
Kash ho kohi kisi se na juda sham k baad.....
Kartay Hain Basar Raat Main Or Mairi Tanhai...
Saanson Ka Kia Bharosa Kab Chor Jain Saath,,
Lakin Rahainge Saath Main OR Mairi Tanhai...
Aaye Na Tumhain Yaad Kabhe Bhool Kar Bhi Hum,,
Karte Hain Tumhe Yaad Main Or Mairii Tanhai...
Aa K Paas Kyon Door Ho Gae Hum Se,,
Kartay Hain Teri talash Main Or Mairii Tanhai
Posts: 37
Comments: 44
Na shab-o-roz achy hain Na haal acha hai Kisi jogi ne kaha taha k ye saal acha hai Maine pucha k ye intazar or kub tak? Muskurate huy bola k sawaal acha hai
