imshaz's blog
Raah Aasan Ho Gayi Hogi
Jaan Pehchan Ho Gayi Hogi
Phir Palat Ker Nigaah Naheen Aayi
Tum Pay Qurbaan Ho Gayi Hogi
Teri Zulfoon Ko Chhairti Thi Saba
Khud Pareshaan Ho Gayi Hogi
Un Say Bhi Cheen Lo Gay Yaad Apni
Jin Ka Imaan Ho Gayi Hogi
Maut Say Tere Dard MandoN Ki
Muskhil Aasan Ho Gayi Hogi
Dil Ki Taskeen Poochtay Hein Aap
Haan Meri Jaan Ho Gayi Gi
Marne Waloon Pay Saif Herat Kiyoon
Maut Aasan Ho Gayi Hogi
Raah Aasan Ho Gayi Hogi
Jaan Pehchan Ho Gayi Hogi...!
The Sadest Part is Not That
With Each Passing Day
I Feel Like
I Need You More...!
But It is The Fact That
You Don't Need Me At All...
Kabhi barish barasti hai
to mujh ko yaad aata hai,
Woh aksar mujh se kehti thi,
MOHABBAT AIK BARISH HAI
Sabhi pe jo barasti hai,
Magar phir bhi nahi hoti sabhi kay waastay yaksaaN!
Kissi k waastay rahat,
Kissi k waastay zehmat,
Main aksar sochta hoon ab,
Woh mujh se theek kehti thi,
MOHABBAT EK BARISH HAI
Sabhi pe jo barasti hai,
Kabhi mujh pe bhi barsi thi,
Magar meray liay barish,
Kabhi nah ban saki raahat,
Yeh raahat kiun nahi banti,
Kabhi main khud se puchooN to,
Yeh dil deta duhaai hai,
Kabhi kachay makanoN ko bhi baarish raas aai hai...?
Aao jaanch letay hain,
Dard kay tarazoo per,
Kis ka gham kahan tak hai,
Shiddatain kahan tak hain,
Kuch aziz logon se puchna to parta hai,
Aaj kal mohabbat ki qeematein kahan tak hain,
Aik shaam aa jao, khul k haal-e-dil keh lain,
Kon janay sanson ki Mohlatein kahan tak hain...!
Maseeha! soch le ab bhi
Nigaah-e-Naaz ne teri mujhe pathar bana dala,
Ba'zaahir daiwta hoon main,
Magar hoon bay-Nawa ab bhi,
Takallum main nahin rakhta,
Tasarruf main nahin rakhta,
Abhi tak na'Mukammal hoon,
Meri takmeel tum se hai,
Maseeha! soch le abhi bhi...
Mera bay-Rang sa chehra,
Meri bay-Noor si aankhen,
Tujhe awaaz deti hain,
BaRhaa Dast-e-Shifa apna,
Keh iss pathar ki rag rag main,
RawaaN hon khoon ki lehrain,
Maseeha Soch Le Ab Bhi...
Mujhe Teri Zaroorat Hai...!!!
Ay Naey Saal,
Bata tujh main naya kia hai?
Har taraf khalq ne kiun shor macha rakha hai
Roshni din ki wohi, taron bhari raat wohi,
Aaj bhi hum ko nazar aati hai her baat wohi,
Aasman badla hai, nah badli yeh afsurdah zameen,
Ek hindsay ka badalna koi jiddat to nahin,
Aglay barson ki tarah hon ge qareenay teray,
Kis ko maloom nahi 12 maheenay teray
Be-Sabab detay hain kiun log mubarak baadain?
Sab kia bhool gaey waqt ki karwi yaadain?
Tu naya hai to dikha, subh'o naii shaam naii
Warna in aankhon ne dekhay hain naey saal kaii...!!!
Bohot asaan hai kehna!
Mohabbat tum se kerti hoon!
Magar Matlab Mohabbat ka,
Samajh Lena Nahin AsaaN
Mohabbat Paa k kho dena,
Mohabbat Kho k paa lena,
Yeh unn logoN k Qissay hain,
Mohabbat k jo Mujrim hain
Jo mil janay pe hanstay hain,
Bichharr janay pe rotay hain
Suno!!!
Mohabbat kernay walay to bohot khamosh hotay hain
Jo Qurbat main bhi jeetay hain,
Jo Furqat main bhi jeetay hain
Nah woh faryaad kertay hain,
Nah woh ashkon ko peetay hain,
Mohabbat kernay walay to Bohot Khamosh Hotay Hain...!
Darta hoon maut se magar marna zaroor hai
Larazta hoon kafan se magar pehen'na zaroor hai
Ho jata hoon gham-geen janazay ko dekh ker
Lekin mera janazah bhi uthna zaroor hai
Hoti hai bari kap-kapi Qabron ko dekh ker
Muddaton andheri raat main sona zaroor hai
Duniya tu mere dil ko lubhaati hai subh-o-shaam
Per sach hai iss ko chhor ker jana zaroor hai
Ya ALLAH! Jab teri taraf se bulawa aaey to saahib-e-emaan uthaana. Aamin!!!
December aa gaya phir se
December main yeh soch tha
Tumhen aglay December main
December bhar jagayen gay
December bhar satayen gay
Tum jab pehloo main sowo gi
Tumhen shab-bhar jagayen gay
Subha se shaam tak din bhar
Tumharay pass bethain gay
Tumhen palkon pe rakhen gay
Tumhen dil main bithayen gay
Tumharay piyar ka bister bicha ker apnay kamray main
Hum sara ghar sajayen gay
Bohot he hont piyasay hain
Bohot dil per udaasi hai
Tumhen jab yeh batayen gay
December se nahin soye
Yeh jo aankhon main laali hai
Tumhari yaad wali hai
Yeh surkhi chunn k aankhon se
Tum honton pe lagao gi
Aor apni narm poron se
Mere seenay pe likh do gi
MERI JAAN !!!
Sab Kuch Tumhara Hai...
Tumharay He Hawalay Hai...
Galay se ab lagaon naa...!
Mujhe pehloo main sona hai,
Mujhe shab-bhar jagao naa...!
December bhar satao naa...!
December bhar jagao naa...!
December Aa gaya phir se...
DECEMBER AA GAYA PHIR SE...!
December jab bhi aata hai
woh pagli phir se...
Beetay mosam ko yaad kerti hai
Purana card parhti hai
Keh jiss main uss ne likha tha
Main loutoon ga December main
Naey kapray banati hai
Woh sara ghar sajati hai
December kay her ek ek din ko
Woh gin gin ker bitati hai
Joonhi 15 guzarti hai
Woh kuch kuch toot jati hai
Magar phir bhi purani albums ko khol ker
Maazi ko bhulaati hai
Nahin mahloom yeh uss Pagli ko
Keh beetay waqt ki khushian bohot takleef deti hain
Mehez dil ko jalati hai
Yoonhi din beet jatay hain
December lout jata hai
Magar woh khush-fehem Pagli
Dobarah se calender main
December kay maheenay kay
safhay ko mor ker phir se
December ki sehar main doob jati hai
Keh aakhir uss ne likha tha
MAIN LOUTOON GA DECEMBER MAIN
Posts: 192
Comments: 102
" Laakh PardoN main chHupaa LooN Bhaid Meray Kholti Hay ShaaEry sach Bolty hai "
