imshaz's blog
Agar Woh Baadshah Hota
To Koi Baat Bhi Hoti
Suna Hai BaadshahoN Ko
Dain Koi Aisa Nazranah
Jo Sab CheezoN Se Barh Ker Ho
To Apni Baadshahi Tak
Luta Detay Hain Woh Aksar
Mohabbat Hai Hamaray Pass!
Magar Woh Baadshah Kab Hai...
Suna hai iss jahan main zindagi ki qehat saali hai,
Yahan 2, 4 din jeeny ka aksar zikar hota hai,
Yahan her cheez faani hai, Sbhi ko moat aani hai,
yahan izhaar kya kerna, Yahan per pyar kya kerna,
Magar kuch youn bhi sunta hoon,
Keh Aisa ek jahan ho ga,
Keh jis main moat aany ka, Koi dharka nahin ho ga,
Hayat-e-javidan k sab Wahan asbaab rakhy hain,
Ye mera tum se wada hai,
Agar donon wahan mil gaye,
Waheen iqrar kr lain gay,
Waheen izhar kr lain gay,
Waheen phir pyar kr lain gay.
Usay kehna! bicharne se mohabbat to nahi marti
Bichar jana mohabbat ki sadaqat ki alamat hai
mohabbat ain fitrat hai
haan fitrat kab badalti hai...
So, jab hum door ho jayen,
Bohot majboor ho jayen...
To yeh mat soch lena tum,
Mohabbat marr gai hogi!!!
Nahin! aisa nahin hoga!
Meray baaray main sun ker jab tumhari aankh bhar aaey
chhalak ker ek bhi aansu palukk per jo utar aaey
to bus itna samajh lena...
Jo meray naam se itni teray dil ko aqeedat hai
Teray dil main bicharr ker bhi abhi meri mohabbat hai
Mohabbat jo bikhar ker bhi, sadaa aabad rehti hai
Mohabbat ho kissi se to HAMESHA yaad rehti hai
Mohabbat waqt k bay-rehem tufaaN se nahi darti
Ussay kehna!!
BICHHARNE SE MOHABBAT TO NAHI MARTI...!
Bohot farsudah lagtay hain mujhe ab yaar k qissay
Gul-o-Gulzaar ki batain, lab-o-rukhsaar k qissay
Yahan sab k muqaddar main faqat zakhm-e-judai hai
Sabhi Jhootay fasanay hain, visaal-e-yaar k qissay
Bhala ishq-o-mohabbat se kissi ka pait bharta hai?
Suno! Tum ko sunata hoon main karobaar k qissay
Meray Ehbaab kehtay hain yehi ek Aeib hai mujh main
Sar-e-deewar likhta hun Pus-e-deewar k qissay
Main aksar iss liay logon se ja ker khud nahi milta
Wohi bekaar ki batain wohi bekaar k qissay
Chalo aisa kerain mil ker sitaray baant letay hain
Zaroorat k mutabiq sab saharay baant letay hain
Mohabbat kernay walon ki tijarat bhi anokhi hai
Mufaafa chor detay hain khasaara baant letay hain
Agar milna nahi mumkin to lehron pe qadam rakh ker
Abhi dariya-e-ulfat k kinaaray baant letay hain
Meri jholi main jitnay bhi wafa k phool hain in ko
Ekathay baith ker ek roz saaray baant letay hain
Mohabbat k ilawa paas apnay kuch nahi ay dost
Issi daulat ko hum chahat k maaray baant letay hain
QASAM LAY LO, TUMHARAY BAAD
Kisi ka khawab dekha ho,
Kisi ko hum ne chaha ho!
Kisi ko hum ne socha ho,
Kisi ki aarzu ki ho!
Kisi ki justuju ki ho,
Kisi ki raah dekhi ho!
Kisi ka Qurb maanga ho,
Kisi ko saath rakha ho!
Kisi ki aas ki ho,
Koi umeed bandhi ho!
Koi dil main utara ho,
Koi tum se bhi piyara ho!
Koi dil main basaya ho,
Koi apna bnaya ho!
Koi rootha ho to hum ne,
Usay ro ker manaya ho!
December ki haseen rutt main,
Kisi ka hijr jhaila ho!
Kisi ki yaad ka mosam,
Meri aankhon main khela ho!
Kisi se baat kerne ko,
kabhi yeh hont tarsay hon!
Kisi ki bewafaai per,
Kabhi yeh nain barsay hon!
Kabhi raaton ko uth uth ker,
Teray dukh main nah roye hon!
Qasam lay lo, tumharay baad,
Hum ek pal bhi soye hon!
Qasam lay lo ...
Kabhi jugnu, kabhi taara,
Kabhi mehtaab dekha ho!
Qasam lay lo tumharay baad,
Kisi ka khawab dekha ho!
QASAM LAY LO...!
Bohot bay-dard hoon nah main!
Staata hun bohot tum ko
Rulata hun bohot tum ko
Keh tum ko chhor kay tanha
Khizaan lamhon ki baanhon main
Bohot he door sochoN main
Chala jata hun main aksar!!
Chalo aisa kero jana!!
Mujhe koi saza day lo
Keh jab sonay ko munn chahay
To meri palkon ka ghunghat orh ker
Tu meray Ru-Bru aana
Meri Saanson main bus jana
Zara bhi door apni yadoN se
Kabhi honay nahi dena
Suno! Tum aisa kerna keh
Mujhay Sonay Nahin Dena!!!
Dekha palat k uss ne keh hasrat usay bhi thi
Hum jiss pe mit gaey thay mohabbat usay bhi thi
Chup ho gaya tha dekh ker woh bhi idhar udhar
Duniya se meri tarah shikayat usay bhi thi
Yeh soch ker andheray galay se laga liay
Raaton ko jaagnay ki aadat usay bhi thi
Woh ro dia tha mujh ko pareshan dekh ker
Uss din raat khula, meri zaroorat usay bhi thi
Unn patharon k saath nibhani pari usay
Jinn se faqat mujhe nahi, nafrat usay bhi thi
Kehnay Ko Mohabbat Hai Lekin
Ab Aisi Mohabbat Kia Kerni...
Jo Neend Chura Lay Aankhon Se,
Jo Khawab Dikha Ker Phoolon Kay,
Tabeer Main Kantay Day Jaey!
Jo Gham Ki Kaali Raton Se,
Her Aas Ka Jugnu Lay Jaey...
Jo Khawab Sajati Aankhon Ko,
Aansu he Aansu Day Jaey...
Jo Mushkil Ker Day Jeenay Ko,
Jo Mernay Ko Asaan Keray...
Woh Dil Jo Piyar Ka Mandir Ho,
Woh Yadon Ko Mehmaan Keray
Ab Aisi Mohabbat Kia Kerni,
Jo Umr Ki Naqdi Lay Jaey,
Aor Phir Bhi Jholi Khali Ho...
Woh Soorat Dil Ka Rog Banay,
Jo Soorat Dekhi Bhaali Ho,
Jo Qais Bana Day Insaan Ko,
Jo Ranjha aor Farhaad Keray...
Ab Aisi Mohabbat Kia Kerni,
Jo Khushion Ko Barbaad Keray,
Dekho To Mohabbat Kay Baaray Main,
Her Shakhs Yehi Kuch Kehta Hai,
Socho To Mohabbat Kay Andar,
Ek Dard Hamesha Rehta Hai,
Ab Aisi Mohabbat Kia Kerni ...!!!
Ishq Pagal Ker Gaya To Kia Kero Ge Soch Lo
Saanehaa Aisa Hua To Kia Kero Ge Soch Lo
Sath Uss Kay Her Qadam Chalnay Ki Aadat Kis Liay
ChHor Ker Woh Chal Dia To Kia Kero Ge Soch Lo
Shor Bahir Hai Abhi iss Wastay Khamosh Hun
Shor Andar Gar Uthaa To Kia Kero Ge Soch Lo
Ker Rahay Ho Ghar Naya Tameer Urtee Rait Per
Yeh Achanak Gir Gaya To Kia Kero Ge Soch Lo
Band PalkoN Per Adhooray Khawab Buntay Ho Magar
Koi Inn Main Aa Basaa To Kia Kero Ge Soch Lo
Dar, Dareechay Sab Mukaffil Ker Kay Bethay Ho Magar
Woh Achanak Aa Gaya To Kia Kero Ge Soch Lo
Doobtay Sooraj Ka Chehra Aur Uss Ka Naqsh-e-Paa
Jab Woh Manzar Gum Hua To Kia Kero Ge Soch Lo
Posts: 192
Comments: 102
" Laakh PardoN main chHupaa LooN Bhaid Meray Kholti Hay ShaaEry sach Bolty hai "
