Search result
Tags - kamaal
Yeh aankh ronay ki shiddat se laal thori hai
Malaal hai magar itna malaal thori hai
Bus apnay wastay he fikr-mand hai sab log
Yahaan kisi ko kisi ka khayaal thori hai
Paron ko kaat dia hai U'raan se pehlay
Yeh khof-e-hijr hai, shoq-e-wisaal thori hai
Jawab yeh hai keh ab koi bhi jawab nahin
Sawal yeh hai keh ab yeh sawaal thori hai
Maza to jab hai keh haar k bhi hanstay raho
Hamesha jeet he jana kamaal thori hai
Lagana parti hai Dubki ubharnay se pehlay
Gharoob honay ka matlab zawaal thori hai
Description
imshaz
Posts: 192
Comments: 102
" Laakh PardoN main chHupaa LooN Bhaid Meray Kholti Hay ShaaEry sach Bolty hai "
Posts: 192
Comments: 102
" Laakh PardoN main chHupaa LooN Bhaid Meray Kholti Hay ShaaEry sach Bolty hai "
Categories
Copyright © 2012 ShehzadOnline!
