Search result
woh to her baar her ikk hadd se guzar jata hai
phir wohi lamha mere dil main utar jata hai
noor paRta hai jab iss khaak nasheeN dunya per
uss ki aankhoN k siwa aor kidhar jata hai
log kehtay haiN k taknay se nazar lagti hai
uss ka chehra hai keh bus aor nikhar jata hai
uss k hathoN main cHupii shokh si khushboo bolay
toR ker phool woh phir saaf mukarr jata hai
har qadam phoonk k rakhna k yeh duniya hai ajab
is maen bhatka howa kab laut ka ghar jata hai
Bohot Khush Hoon !
maeN itna Khush Hoon Jiss Ka Mujhko andazah naheN hay
Bus itna hay keh tum ne mujhKo hanstay hanstay chHoRa tha
phir uss kay baad maeN hansta he rehta hoon
Bohot khush hoon !
Meri aankhoN maeN ab aansu naheN aatay
maeN ab rota naheN hooN
bus itna hay khushii maeN Doob jata hooN
to phir sota naheN hooN
mujhay tab yaad aata hai kabhi tum nay kaha tha
Mohabbat marr naheN sakti
aor ab yeh maeN Bhi kehta hooN
yeh tanhaii kay zakhmoN ko bhi yaksar bhar naheN sakti
phir iss ka sog kia kerna
so maeN ek din hansii main sab uRaa dooN ga
tumharay hijr maeN reh ker maeN tum ko bhi bhula dooN ga
Posts: 192
Comments: 102
" Laakh PardoN main chHupaa LooN Bhaid Meray Kholti Hay ShaaEry sach Bolty hai "
